dil mein wo shor na aankhon mein wo nam rahta hai ab tap-e-hijr tawaqqo se bhi kam rahta hai kabhi shoale se lapakte the mere sine mein ab kisi waqt dhuan sa koi dam rahta hai kya khuda jaane mere dil ko hua tere baad na khushi is mein thaharti hai na gham rahta hai rishta-e-tar-e-tamanna nahin tuta ab tak ab bhi aankhon mein teri zulf ka kham rahta hai chhod jati hai har ek rut koi khushbu koi rang na sitam rahta hai baqi na karam rahta hai