dil mera mail-e-arzu ho gaya jab mere yar ke ru-ba-ru ho gaya daman-e-dil mera chaak tha yak-ba-yak un ki nazar-e-karam se rafu ho gaya wo jise main ne dekha nahin tha kabhi aaj wo hi meri justuju ho gaya khub dil se sunin us ne baaten meri aaj main laeq-e-guftugu ho gaya jab tasawwur mein taswir-e-yar aa gai ek ujala mere chaar su ho gaya be-takalluf hue mujh se jab wo to main aap se tum hua tum se tu ho gaya zikr-e-'anjum' hua jab teri bazm mein tab se wo sahib-e-abru ho gaya