dil mujhe samjhata hai to dil ko samjhata hun main jaane kaise aql ki baaton mein aa jata hun main din mujhe har din bana leta hai apna yarghamal raat jab aati hai to khud ko chhuda lata hun main koi jhuta wada bhi karta nahin hai wo kabhi khud umiden bandh leta hun bahal jata hun main zinda rahne ka mujhe fan aaj tak aaya nahin phir bhi jina chahta hun kya ghazab dhata hun main dal kar aankhon mein aankhen karni hai kuchh guftugu zindagi ai zindagi to ruk abhi aata hun main main ne dariya ke hawale kar diya hai tan-badan maujon ki rau mein khamoshi se baha jata hun main ab na aaega mere sheron mein tera tazkira ai meri jaan-e-ghazal teri qasam khata hun main shiddat-e-gham hi ilaj-e-gham bhi hota hai 'kamal' badhti hain tarikiyan to raushni pata hun main