dil-o-dimagh hai ab kis ko zindagani ka jo koi dam hai to afsos hai jawani ka agarche umr ke das din ye lab rahe khamosh sukhan rahega sada meri kam-zabani ka subuk hai aawe jo mindil rakh namaz ko shaikh raha hai kaun sa ab waqt sargirani ka hazar jaan se qurban be-pari ke hain khayal bhi kabhu guzra na par-fishani ka phire hai khinche hi talwar mujh pe har-dam to ki said hun main teri dushmani jaani ka numud kar ke wahin bahr-e-gham mein baith gaya kahe to 'mir' bhi ek bulbula tha pani ka