dil-o-jigar ka faraham jo kuchh lahu karte

dil-o-jigar ka faraham jo kuchh lahu karte
to phir namaz-e-mohabbat ka hum wuzu karte

maze ajal ke bayan un ke ru-ba-ru karte
masih-o-khizr bhi marne ki aarzu karte

wo apne husn pe nazan kabhi nahin hote
jo aaina wo kabhi apne ru-ba-ru karte

jo apne dast-e-junun ko qarar aa jata
to chaak-e-dil ko kahin baith kar rafu karte

mila hua tha gale se mere wo gul 'nashtar'
tamam umr hui jis ki justuju karte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close