dil-o-nigah ko viran kar diya maine

dil-o-nigah ko viran kar diya main ne
shikast-e-khwab ka elan kar diya main ne

jo tir aae the us ki taraf se sine par
saja ke zakhmon ka gul-dan kar diya main ne

ghamon ka taj mere sar pe jab se rakkha hai
khud apne aap ko sultan kar diya main ne

na koi phul hi rakha na aarzu na charagh
tamam ghar ko bayaban kar diya main ne

wo chahta tha ki sab kuchh luta ke zinda rahun
lo aaj pura ye arman kar diya main ne

main zad pe tiron ke khud aa gaya hun aaj 'zafar'
tere nishane ko aasan kar diya main ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close