dil sair kuchh itna ho paimana nazar aae jis samt nazar jae mai-khana nazar aae lazim hai ki duniya se begana nazar aae wo hosh ka paikar jo diwana nazar aae surat ka teri aalam diwana nazar aae gar aankh ko parde ka dhoka na nazar aae achchha hai jo phulon ko kanta na nazar aae kyon khuld ke bandon ko virana nazar aae banta hai koi apna is yas ki zulmat mein jab gham ke siwa koi yarana nazar aae ai saqi-e-khuddari wo jam pila jis se zahid ki haqiqat bhi rindana nazar aae mahaul-e-pareshan mein sada si tamanna hai har aaina ab ru-e-jaanana nazar aae gar 'shad' raha chahe us chashm ka hamil ban tanwir-e-haram jis mein but-khana nazar aae