dil-shikasta hue tuta hua paiman bane hum wahi hain jo tumhein dekh ke anjaan bane chand yaaden meri zanjir-e-shab-o-roz banin chand lamhe mere khoe hue ausan bane wo bhi kya fasl thi kya shoala-e-khirman tha buland wo bhi kya din the ki daman se gareban bane in ki duri ka bhi ehsan hai meri sanson par mujh se is tarah wo bichhde ki nigahban bane ahl-e-sahil se nadamat si nadamat hai ki hum ek kashti-e-tah-e-ab ka saman bane hae kya aas thi kya kya na tumhein banna tha tum bane bhi to mere dard ki pahchan bane ghar sajaana to kuja 'shaz' luta bhi na sakun in se shikwa hai ki wo kyun mere mehman bane