dila mashuq jo hota hai wo saffak hota hai bada be-rahm hota hai bada bebak hota hai khushi hogi halak apna dil-e-sad-chaak hota hai kahan ab aarzu ghar hasraton ka khak hota hai tumhaari tegh mujh se chupke chupke kahti jati hai mubarak ho ki ye sar zinat-e-fitrak hota hai tujhe allah ne bakhsha hai kaisa rutba-e-ali ki tera naqsh-e-pa taj-e-sar-e-aflak hota hai qarib aaya hai waqt ai jaan-e-jaan ab dam nikalne ka tere kuche se hum uthte hain jhagda pak hota hai jo pite hain sharab un ki mohabbat mein nahin aasi ye tar-daman wahi hain jin ka daman pak hota hai khayal aata hai badnami ka aashiq qatl hote hain ki mashuqon ko nam-e-ashiqi se pak hota hai asar se meri wahshat ke koi jama nahin sabit main sunta hun gareban har kafan ka chaak hota hai main kah deta hun ho aa kar zulf ke kuche mein dam-bhar ko kisi din jab bahut muztar dil-e-ghamnak hota hai pahunch jae haqiqat tak teri ye ghair-mumkin hai bahut go tujh se waqif sahab-e-idrak hota hai 'rashid'-e-zar kyun khush khush na jae qabr ki jaanib mayassar aaj didar-e-shah-e-laulak hota hai