din agar chaDhta udhar se main idhar se jagta

din agar chadhta udhar se main idhar se jagta
husn sara mashriqon ka sath mere jagta

main agar milta na us se is azal ki sham mein
khwab in diwar-o-dar ka dil mein kaise jagta

hai misal-e-baad-e-gulshan jagna us shokh ka
rang jaise dur ka rangon ke pichhe jagta

ab wo ghar baqi nahin par kash us tamir se
ek shahr-e-arzu aankhon ke aage jagta

chand chadhta dekhna behad samundar par 'munir'
dekhna phir bahr ko us ki kashish se jagta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close