din bhale jaisa kaTe sanjh samay KHwab to dekh

din bhale jaisa kate sanjh samay khwab to dekh
chhod tabir ke khadshon ko are khwab to dekh

jhonpadi mein hi bana apne khayalon ka mahal
go purana hai bichhauna to nae khwab to dekh

tera har khwab masarrat ki bashaarat lae
sach tere khwab hon allah kare khwab to dekh

dil shikasta main hua jab bhi mera dil tuta
hausle aage badhe kahne lage khwab to dekh

tujhe wo baat bhi aaegi samajh yar mere
jo hai idrak ki sarhad se pare khwab to dekh

gutthiyan sari sulajh jaen ki hon aur siwa
tu zara hath badha tham sire khwab to dekh

nind ke khwab tere khauf ke ghar hain bhi to kya
nind ko chhod to jab subh uthe khwab to dekh


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close