din hua aur raushni hi nahin chand nikla to chandni hi nahin beach jangal mein rah bhuli thi laut kar ghar kabhi gai hi nahin haal aur mazi ek jaise hain waqt se meri dosti hi nahin meri aankhon ko le uda baadal aisi barish hui thami hi nahin be-sahaara thakan hai aur main hun manzil-e-ishq tak chali hi nahin kuchh sitaron ne khud-kushi kar li kuchh sitaron mein sans thi hi nahin ye sahar aaine mein kaun hai ab meri surat kabhi mili hi nahin