din kisi surat guzarta hi nahin ret par chehra ubharta hi nahin ji rahe hain nafraton ke darmiyan chehra-e-imkan nikharta hi nahin ta-abad jari rahe raqs-e-junun ghar ka sannata bikharta hi nahin dekhna qaht-e-jamal-e-zindagi shahr mein koi sanwarta hi nahin jaane kya us ki nazar ne kar diya dil kisi pahlu thaharta hi nahin nashsha-e-hasti ke din pure hue 'saghar'-e-jaan hai ki bharta hi nahin