din-raat us ke hijr ka dimak lage lage dil ke tamam khane mujhe khokhle lage mahfil mein nam us ka pukara gaya tha aur sab log the ki meri taraf dekhne lage afsos fikr-e-jaan hi nahin rahti hai hamein afsos aap jaan hamein manne lage jo kahte the koi tujhe thukra na paega jab baat khud pe aai to wo sochne lage main aaj tak na thik se khud ko samajh saka ek hi dafa mein aap mujhe jaanne lage