din se dur, na mazhab se alag baiTha hun

din se dur, na mazhab se alag baitha hun
teri dahliz pe hun, sab se alag baitha hun

dhang ki baat kahe koi, to bolun main bhi
matlabi hun, kisi matlab se alag baitha hun

bazm-e-ahbab mein hasil na hua chain mujhe
mutmain dil hai bahut, jab se alag baitha hun

ghair se dur, magar us ki nigahon ke qarin
mahfil-e-yar mein is dhab se alag baitha hun

yahi maslak hai mira, aur yahi mera maqam
aaj tak khwahish-e-mansab se alag baitha hun

umr karta hun basar gosha-e-tanhai mein
jab se wo ruth gae, tab se alag baitha hun

mera andaz 'nasir' ahl-e-jahan se hai juda
sab mein shamil hun, magar sab se alag baitha hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close