din utarte hi nai sham pahan leta hun main teri yaadon ka ehram pahan leta hun mere ghar wale bhi taklif mein aa jate hain main jo kuchh der ko aaram pahan leta hun raat ko odh ke so jata hun din-bhar ki thakan subh ko phir se kai kaam pahan leta hun jab bhi pardes mein yaad aata hai ghar ka naqsha main tasawwur mein dar-o-baam pahan leta hun ek chandi ki anguthi ke hawale se faqat apni ungli mein tera nam pahan leta hun 'faiz' yun rakhta hun main us ki mohabbat ka bharam us ke hisse ke bhi ilzam pahan leta hun