diwane hue sahra mein phire ye haal tumhaare gham ne kiya afsos magar is baat ka hai kya tum ne kiya kya hum ne kiya jab bhadki hai aatish-e-dagh-e-jigar sard us ko dida-e-nam ne kiya shadab chaman mein phulon ko har sham-o-sahar shabnam ne kiya achchhi hui ab ki bari ye hui in baaton ko khud hi samjho ilzam hamein kya dete ho jo tum ne kaha wo hum ne kiya tarik hui sari duniya kya maut hui mujh bekas ki kam aise hue hain shahid-e-wafa gham jin ka ek aalam ne kiya qismat ki tarah ye dil na phira kabe se bhi ulte panw phire aankhon mein gali wo phirne lagi be-khud ye tawaf haram ne kiya kya aisi wafa par naz karun jo bais ho ruswai ki ye baat hui mar jaane ki bad-nam kisi ko sitam ne kiya ghurbat mein tumhaari turbat par rone ko 'hafiz' aata koi ab shukr karo aansu to puchhe chhidkaw bhi abr-e-karam ne kiya