diya saqi ne awwal roz wo paimana masti mein ki main na-ashna pi kar hua diwana masti mein sharab-e-atishin wo hai ki do ek ghunt pite hi jo saqi ho to aata hai nazar paimana masti mein nazar aata hai mujh ko boriya bhi takht-e-tausi gada rakhta hai goya shaukat-e-shahana masti mein koi kahta hai masjid hai koi kahta hai bahar ja ilahi kya main bhula hun rah-e-mai-khana masti mein nasha tha mujh ko aur yaron ne chaha chhin len botal magar kaam aa gai kuchh jurat-e-rindana masti mein khabar kya thi waiz hai yahi samjha ki saqi hai utha aur uth ke ja lipta main betabana masti mein meri puja thi kaif-angez nazron ki parastari mera sajda tha pesh-abru-e-jaanana masti mein qadam rakhta kahin hun aur padta hai kahin ja kar 'nushur' is waqt hun kuchh hosh se begana masti mein