diye ka kaam ab aankhen dikhana rah gaya hai ye sidha jal chuka ulta jalana rah gaya hai hamin saman pura kar nahin pae ki chalte so rahte rahte is jangal se jaana rah gaya hai sar-e-koh-e-nida ye pahli pahli khamushi hai koi aawaz hai jis ka lagana rah gaya hai ye do bazu hain sau thodi hain kholun aur bata dun mere atraf mein kis kis ka aana rah gaya hai kaman-daron ka jashn us raat abhi banta nahin tha main kahta rah gaya mera nishana rah gaya hai sadak par phul ek aaya pada hai aur musafir kai aise hain jin ka aana jaana rah gaya hai