diye ki lau se na jal jae tirgi shab ki ki din ki qadr ka bais hai har ghadi shab ki jo dil-kharash hain kuchh lamhe din ke lamhon mein to dil-faroz bhi hain saaten kai shab ki kahan ke khwab mere aur kahan ki tabiren mujhe to sone na de ab sahar-gari shab ki jo wo nahin hai to kuchh bhi nahin hai phir 'hamid' abas hain chand ke bin raunaqen sabhi shab ki