do umron ki rui dhun kar aaya hun main pardes se khud ko bun kar aaya hun dariya se yari bhi kitni mushkil hai main kashti ke tukde chun kar aaya hun tum ko kitna shauq hai phone pe baaton ka aaj bhi boss ki baaten sun kar aaya hun jaane kaun chura leta tha mera waqt wall-clock pe jala ban kar aaya hun aaj ki sham guzarenge hum chhatri mein barish hogi khabren sun kar aaya hun dost ko samjhane ki khatir aaya tha anjaane mein khud ko tun kar aaya hun