dosti ki justuju hai shahr mein hum bhi moti dhundte hain nahr mein ghaur se dekha to har khurshed chand tab-e-raushan kitni kam hai dahr mein jab bhi chaha chal padi mazi ki film aisi qudrat yaad ki ek lahr mein jaante hain kuchh hamein insan-zada farq insan aur khuda ke qahr mein shiddat-e-ehsas thi inam-e-ishq shahd ab shirin na talkhi zahr mein ret par the kis qadar naqsh-e-jamil ho gae sab jazb chadhti lahr mein