duba hua uthun dam-e-mahshar sharab mein de den kafan jo yar dubo kar sharab mein mane na mane koi pa itna kahenge hum hai zauq-e-be-khudi to muqarrar sharab mein manen jo meri baat muridan-e-be-riya den shaikh ko kafan to dubo kar sharab mein kis ke khiram-e-naz se milti hai mauj-e-jam barpa hai ek fitna-e-mahshar sharab mein wo rind-e-baada-kash hun ki 'mail' pas-e-fana jalwe ne tere qahr uthaya naqab mein