duniya mein yun to har koi apni si kar gaya zinda hai us ka nam kisi par jo mar gaya subh-e-shab-e-visal hai aaina hath mein sharma ke kah rahe hain ki chehra utar gaya saqi ki badh chali hain jo be-iltifatiyan shayad hamari umr ka paimana bhar gaya itna to jaante hain ki pahlu mein dil nahin us ki khabar nahin ki kahan hai kidhar gaya hum se jo aap ruth ke jate hain jaiye sun lijiyega zahr koi kha ke mar gaya jata raha shabab to kuchh sujhne lagi aankhen khulin sharab ka nashsha utar gaya naseh kahan ka chhed diya tu ne aa ke zikr us ka khayal phir mujhe bechain kar gaya do din mein ye mizaj ki haalat badal gai kal sar chadha tha aaj nazar se utar gaya achchha hua jo aap ayaadat ko aa gae sar ka ye ek bojh tha wo bhi utar gaya tere mariz-e-hijr ka ab to ye haal hai aaya jo dekhne ko wo ba-chashm-e-tar gaya chheda kisi ne zikr-e-mohabbat jo ai 'hafiz' dil par ajib tarah ka sadma guzar gaya