duniya se be-shumar musalman guzar gae husn-e-azal pe shashdar-o-hairan guzar gae mumkin na tha ki did ki neamat yahan mile dil mein liye visal ke arman guzar gae insaniyat ko naz tha jin ke wajud par aise bhi jaane kitne hi insan guzar gae aalam fana-pazir hai baqi hai zat-e-haq lakhon karodon hazrat-e-insan guzar gae tufan jo uth raha hai wo baithega ek din aise na jaane kitne hi tufan guzar gae islam ka muhafiz-o-nigaran hai khud khuda hum jaise jaane kitne musalman guzar gae husn-e-azal hai aaj bhi jalwa-fagan 'uruj' husn-e-azal ke lakh ghazal-khwan guzar gae