dur faza mein ek parinda khoya hua udanon mein us ko kya malum zamin par chadhe hain tir kamanon mein phul tod ke log le gae unche bade makanon mein ab hum kante saja ke rakkhen mitti ke gul-danon mein be-dar-o-baam thikana jis mein dhul dhup sannata gham wahi hai mujh wahshi ke ghar mein jo kuchh hai viranon mein aap ke qadmon ki aahat se shayad khwab se jag uthe soi hui viran udasi kamron mein dalanon mein ranj o alam tanhai ke sathi guzar basar ko kafi hain khushi to shamil ho jati hai aae gae mehmanon mein arman saje saje palkon par tar tar thi apni jeb apne liye to zakhm-e-dil the bazar aur dukanon mein waqt ne kaisa rup diya jo log nahin pahchan sake kash ki khud ko dekh bhi sakte jag ke aaina-khanon mein zikr-e-'shams' udas karega chhodo aur koi baat karo aise shakhs ki kyun tum ginti ginte ho insanon mein