dur ke ek nazare se nikal kar aai raushni mujh mein sitare se nikal kar aai jis ne kashti ko duboya sar-o-saman samet wo ghani mauj kinare se nikal kar aai rakh jhadi jo badan ki to achanak bahar aag hi aag sharare se nikal kar aai ped mabhut hue dekh ke is manzar ko dhup jab us ke ishaare se nikal kar aai aankh mein ashk riyazat se hua hai paida ye nami waqt ke dhaare se nikal kar aai kaun takiya kare mahtab ki us raushni par samne bhi jo sahaare se nikal kar aai khud bhi hairan hun ye soch ke 'azar' ab tak zindagi kaise khasare se nikal kar aai