dur kyun jaun yahin jalwa-numa baitha hai dil mera arsh hai aur us pe khuda baitha hai but-kade mein tere jalwe ne tarashe patthar jis ne dekha yahi jaana ki khuda baitha hai kya hue aankh ke parde jo pade the ab tak barmala hashr mein kyun aaj khuda baitha hai naqsh-e-wahdat hi suwaida ko kaha karte hain dil mein ek til hai aur us til mein khuda baitha hai main jo kahta hun ki kabe ko na barbaad karo hans ke but kahte hain kya dil mein khuda baitha hai aasman main teri gardish se nahin darta hun tujh ko kis baat ka gham sar pe khuda baitha hai chashm-e-wahdat se jo insan zara ghaur kare jis ko dekhe yahi samjhe ki khuda baitha hai apne marne ka zara gham na karo tum 'muztar' yun samajh lo ki jilane ko khuda baitha hai