dur se aati sada par raqsan panw mere hain saba par raqsan us ka aata hai andhere mein khayal bijliyan jaise ghata par raqsan tez aandhi mein hawadis ki hum sukhe patte hain hawa par raqsan mere pindar ke mismar mahal main hun ab un ki bina par raqsan khun aaluda mere panw hain aur main apni ana par raqsan 'shahla' us rahguzar-e-shauq pe chal us ke naqsh-e-kaf-e-pa par raqsan