dur se mujh ko na munh apna dikhao jao bas ji bas dekh liya main tumhein jao jao is qadar aamad o shud tum ko zarar rakhti hai dostan har ghadi is ku main na aao jao jaun jaun hi jo karte ho to mane hai kaun jao mat jao jo jate ho to jao jao aap ki aankhon se mere tain dar lagta hai mujh sitam-kushta se aankhen na milao jao tum jahan jate ho mujh ko bhi khabar hai sahib apne jaane ko na bande se chhupao jao sair-e-gulshan ko agar jate ho hamrah-e-raqib bakhsho mere tain mujh ko na bulao jao hum se kya munh ko chhupae hue jate ho tum hum ne pahchan liya munh na chhupao jao aap ki meri kisi tarah na howe ki sulh faeda kuchh nahin baaten na banao jao kya miyan 'mushafi' yan ji ke tain khooge us ke kuche se kahin rakht uthao jao