dushman bhi apne dost se yarab juda na ho na aashna ko bhi alam-e-ashna na ho sad-chaak ho wo dil ki jo dard-ashna na ho phute wo aankh jis se ki aansu gira na ho wo said hun ki par bhi hon aur ud saka na ho yarab mujhe kahin par-e-mahi mila na ho baad-az-fana zamin se na utha mera ghubar aisa koi kisi ki nazar se gira na ho karti hai ab talak jo lagawat tumhaari tegh tasma koi gale mein laga rah gaya na ho mar kar bhi us gali mein na hum pahunchen ya nasib khak apni jab ude to udhar ki hawa na ho be-yar zauq kab hai sharab-o-kabab se parwa nahin hai ab mujhe saqi ho ya na ho khun-e-jigar piya na ho jis ne wo mai piye khae wahi kabab ki jo dil-jala na ho hum khak mein mile to mile gham magar ye hai dil mein tere ghubar kahin aa gaya na ho ruswai ka bhi chahiye wahshat mein kuchh khayal daman jo chaak ho to gareban phata na ho be-jurm-o-be-gunah na aashiq ko qatl kar kaba teri gali hi kahin karbala na ho khinchi thi tegh par na nazakat se khinch saki qatil ka kya qusur jo meri qaza na ho marham jo sabz tum ne lagaya to faeda be-ab-e-tegh zakhm hamara hara na ho bang-e-dara to hoti nahin aisi dil-kharash hamrah-e-qafila dil-e-nalan mera na ho jo ho saken wo mujh se karo be-wafaiyan ta phir kisi ko tum se ummid-e-wafa na ho juz kahruba uthai kisi ne na meri lash kahida is qadar koi yarab hua na ho hasrat se kyun tadapte hain sayyaad asir-e-dam hathon mein tere tair-e-rang-e-hina na ho kha kha ke pan pik jo phenki mazar par us ke shahid-e-lab ka yahi khun-baha na ho is darja kyun hai charkh-e-jafa-ju ko iztirab dil ko mere qarar kahin aa gaya na ho khamosh apne dar pe mujhe dekh kar wo shokh kahta hai ye faqir kahin be-nawa na ho hai darmiyan mein tafraqa-parwaz-guftugu khamosh ho to lab se kabhi lab juda na ho bahr-e-jawab khat mein jagah chhod di thi kuchh qasid ne us pe khatt-e-ghulami likha na ho phir ruh ko hai jism mein aane ka ishtiyaq us ne mere janaze ko kandha diya na ho bechain ho na jaen sab aasudgan-e-khak wo chaal chal ki jis se qayamat bapa na ho tu mujh siyah-bakht ki jaanib nigah kar dekhun to kyunkar aankh teri surma-sa na ho tarik ho gaya hai nazar mein jahan 'wazir' aankhon mein us ki ghair ne surma diya na ho
This is a great piya haji ali shayari. True lovers of mahi shayari image will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore karbala shayari wallpaper. Please share if you liked this!!!