dushman ko zad par aa jaane do dashna mil jaega

dushman ko zad par aa jaane do dashna mil jaega
zindanon ko tod nikalne ka rasta mil jaega

shah-sawar ke kat jaane ka dukh to hamein bhi hai lekin
tum parcham thame rakhna salar-e-sipah mil jaega

hamein khabar thi shahr-e-panah par khadi sipah munafiq hai
hamein yaqin tha naqab-zanon se ye dasta mil jaega

soch-kaman salamat rakhni hogi tir-andaz bahut
kaun hadaf hai aur kahan hai us ka pata mil jaega

bas tum jabr ki choti sar karne ka ahd jawan rakhna
us tak jaane wale raston ka naqsha mil jaega

hasan-'raza' uth aur qadam aawaz-e-jaras par rakh warna
shah ka sar lane tujh sa koi diwana mil jaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close