ehsas bhare dil mein ek pyar ka sagar hai jo sab se chhupaya tha wo tujh pe ujagar hai kahte hain sabhi mujh se tum dil mein jagah de do kaise main unhen de dun ye dil jo tera ghar hai ulfat ka khazana jo tu ne hi litaya tha tu dhund zara phir se tere hi wo andar hai jo gham se nahin pighla wo dil hai bhala kaise jo pyar ko na samjhe wo dil nahin patthar hai jis ko tha kaha tu ne bahon mein chhupa lunga wo teri 'sikhar' bhatke kyon aaj yun dar dar hai