ehsas-e-ziyan chain se sone nahin deta rona bhi agar chahun to rone nahin deta sahil ki nigahon mein koi dard hai aisa maujon ko meri naw dubone nahin deta kya jaaniye kis baat pe dushman hua mausam sarsabz kisi shakh ko hone nahin deta larzan hai kisi khauf se jo sham ka chehra aankhon mein koi khwab pirone nahin deta ek zahr sulagta hai rag-e-jaan mein jo 'fikri' ek pal bhi teri yaad mein khone nahin deta