ek aisa azm-e-rasiKH ab hamare dil mein hai

ek aisa azm-e-rasikh ab hamare dil mein hai
gardish-e-ayyam bhi khud in dinon mushkil mein hai

apni ulfat par bahut kuchh tabsire hote rahe
aazmaish meri khamoshi ki har mahfil mein hai

rahraw-e-manzil na samjha aaj tak ye falsafa
karwan-e-zindagi ka har qadam manzil mein hai

is khushi ka ho bura majbur kitna kar diya
soch kar hi rah gae hum kaisi khwahish dil mein hai

teri meri kahne wale soch lena ek bar
jhut khulne par teri izzat kisi mahfil mein hai

saeban to hai nahin koi bhi rah-e-ishq mein
soch kar rah rah ke ye ahl-e-khirad mushkil mein hai

hum se 'raje' dushmanon ka bhi bura hota nahin
dosti ka pas itna to hamare dil mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close