ek aisa bhi marhala hoga us ne sab kuchh mita diya hoga ye jo ladta hai raat-din mujh se koi mujh mein bhi dusra hoga wo jo sachchi thi wo kahani thi ye jo qissa hai hadisa hoga us ne sadiyon ko bandh rakkha hai wo jo kahta tha kal raha hoga wo jo tuta tha nind jaisa kuchh us ka naqsha bhi khwab sa hoga wo jo kahta tha kuchh nahin baqi ain mumkin hai kuchh hua hoga