ek ariza hai dil-e-mushtaq mein rakkha hua aaftab-e-ishq hai aafaq mein rakkha hua zindagi ka zaiqa mujh ko tawatur se mila zahr mein rakha hua tiryaq mein rakkha hua nafraton ke sab nawishte us ne azbar kar liye hai mohabbat ka sahifa taq mein rakha hua balwa-e-baatil mein haq ki khamushi ka sath do ye bhi nukta hai mere misaq mein rakkha hua rakh udti dekh kar mujh se gurezan kyon hue ek shoala hai abhi chaqmaq mein rakkha hua main ne dekha mera qatil mubtala-e-khauf hai sar mera tha jis ghadi itbaq mein rakkha hua lau na maddham hogi 'manzar' bujh na paega kabhi ye diya hai sina-e-ushshaq mein rakkha hua