ek aur lash phir se uThai gai hai aaj

ek aur lash phir se uthai gai hai aaj
phir naujawan ki qabr banai gai hai aaj

insaniyat ko dhundhne walo suna hai ki
lash us ki kude kachre mein pai gai hai aaj

jis ram nam se kai dipak jale kabhi
ek lash-e-be-gunah jalai gai hai aaj

us bhid ko qarar hua bas ye dekh kar
diwar ghar ki khun se rangai gai hai aaj

matam kisi ke ghar pe kara kar are sitam
zalim ke ghar diwali manai gai hai aaj

neta bana ke jis ko chuna us ke hath se
apne gharon ko aag lagai gai hai aaj

'musa' meri qalam hai bahut chaak dard se
zikr-e-qital-o-zulm likhai gai hai aaj


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close