ek benam-o-nishan ruh ka paikar hun main apni aankhon se ulajhta hua manzar hun main kaun bahte hue pani ko sada deta hai kaun dariya se ye kahta hai samundar hun main mujh ko dam-bhar ki rifaqat bhi hawa ko na mili apni parchhain se lipta hua patthar hun main yahi ujdi hui basti hai thikana mera dhundne wale isi khak ke andar hun main qahr ban jaengi ye khun ki pyasi rahen zindagi mujh mein simat aa ki tera ghar hun main