ek dastak pe ye darwaza khula bhi kuchh der

ek dastak pe ye darwaza khula bhi kuchh der
koi aaya dil-e-viran mein ruka bhi kuchh der

meri aawaz pe palta bhi wo aankhen bhi thin nam
jate jate mere sina se laga bhi kuchh der

itna pas aa ki meri sanson mein khushbu bhar jae
khwab ki tarah meri aankhon mein aa bhi kuchh der

jism simte to laga nabz na tham jae kahin
sans ruk jaane ka dhadka sa hua bhi kuchh der

waqt-e-rukhsat tha faza mein bhi tere hijr ka dukh
aansuon se mere bhigi thi saba bhi kuchh der


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close