ek dhanak ko dhundh karne ka chala kaisa chalan

ek dhanak ko dhundh karne ka chala kaisa chalan
dekh to khud ko zara wibgyor hai pura badan

hai ye tauhin-e-chaman gar ek do hi rang hon
mukhtalif rangon ke phulon se hai tauqir-e-chaman

ye badan waisa nahin hai wo badan aisa nahin
hai nadarad dil hi jis se wo kaho kaisa badan

dost hona hai rawa mahbub hona na-rawa
ek aankhon ki hai thandak ek aankhon ki chubhan

pyar se hai tum ko nafrat nafraton se pyar hai
ulta hai dastur andhera khud ko kahta hai kiran

aag sinon mein rahe bas bahs ye bekar hai
surkh kis ki aag hai aur nili hai kis ki agan

jab usi ne hai banaya ye jahan sab ke liye
lab dua mein lab pe rakkho ho magan gao bhajan

ek duje ko na maren ye barahman aur shaikh
ek duje par jo mar jaen ye shaikh-o-barhaman

ab nahin yun zindagi se rang chhine jaenge
fakhr se indardhanush ke hai buland apna gagan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close