ek din mera aaina mujh ko mujh se kar jaega juda mujh ko wo bhi maujud tha kinare par us ne dekha tha dubta mujh ko gham, musibat, firaq, tanhai, us ne kya kuchh nahin diya mujh ko phul hun khak to nahin hun main ras kab aaegi hawa mujh ko saikdon aaine badal dale apna chehra nahin mila mujh ko lab pe mohar-e-sukut bhi to nahin kar gaya kaun be-sada mujh ko maut kyun-kar najat bakhshegi zindagi tu ne kya diya mujh ko