ek hawa aisi chali bagule bhi kale ho gae chand ko sardi lagi suraj ko chhaale ho gae mazhabi aatish ne bachpan ki jala di dosti hum bhi kaba ban gae tum bhi shiwale ho gae hausla chhune ka tha bachpan mein tujh ko aasman barson teri samt ek patthar uchhaale ho gae hijr ki daulat ne mala-mal mujh ko kar diya baal chandi ke hue sone ke chhaale ho gae aire-ghaire natthu-khaire padh rahe hain chehre ab chehre chehre na hue goya risale ho gae dagh suraj ki hukumat par bhi kuchh to lag gaya kuchh ujale jab andheron ke niwale ho gae aainon par pattharon ke qatl ka ilzam kyun aaine aaine na hon jaise bhaale ho gae dekh lete tum bhi apne is zamin ke 'chand' ko itni jaldi aasman ke kyun hawale ho gae