ek intizar sa tha ab nazar mein wo bhi nahin safar mein marne ki fursat thi ghar mein wo bhi nahin zara malal ki zulmat ko talne ke liye kai khayal the ab to asar mein wo bhi nahin jo sang-o-khar the meri hi gardishon tak the main rahguzar mein nahin rahguzar mein wo bhi nahin the chashm-e-baam-nagar mein ajab tulua ke rang wo ek nashat-e-sahar tha sahar mein wo bhi nahin kahan ki lazzat-e-baalidgi-e-shakh-o-samar jo zaiqa tha hawa-e-shajar mein wo bhi nahin rahe na kuchh bhi magar ab ye kaif kya kam hai jis aagahi ki kami thi hunar mein wo bhi nahin