ek lahr uthi gham ki dil mein ummid ka daman chhut gaya ro ro ke arman kahte hain dil tut gaya dil tut gaya gar nach rahe hain mor to kya karta hai papiha shor to kya main janm jali fariyaad karun mera piritam mujh se ruth gaya barbaadi-e-dil ka afsana hum kis se kahen aur kaise kahen jab sunne wala koi nahin jab dil hi apna tut gaya zakhmon pe mere jo hanste hain duniya wale gham us ka nahin ai kash bura ho is dil ka jo bhedi ban kar lut gaya