ek lahza na gham-e-sud-o-ziyan humne kiya

ek lahza na gham-e-sud-o-ziyan hum ne kiya
mausam-e-hijr mein ye kar-e-garan hum ne kiya

ye zamin sakht thi ashab-e-mohabbat ke liye
chashma-e-ashk yahan kaise rawan hum ne kiya

kaisi virani thi hum jis mein khilate rahe phul
kya ayan tha jise har roz nihan hum ne kiya

hum ne jo kuchh bhi kiya gham ke hawale se kiya
yun nahin kar-e-junun rah-guzran hum ne kiya

zindagi teri jabin yunhi chamakti rah jae
us pe ek chand sajaane ka guman hum ne kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close