ek manzar iztirabi ek manzar se ziyaada dil hai sahil dil safina dil samundar se ziyaada do jahan ki neamaton ko do badan se zarb de kar ek lamha mangta hun banda-parwar se ziyaada ai but-e-tauba-shikan main tujh se mil kar sochta hun phul mein hoti nazakat kash patthar se ziyaada hasrat-e-shahr-e-nasiban kya tujhe malum bhi hai dasht hai aabaad yani ishq ke ghar se ziyaada chashm-o-lab se pahle ek tishna talluq chahta hun aur phir aasudgi tasnim-o-kausar se ziyaada ek larzida faza hai aasman ki wusaton mein ek parinda ud raha hai apne shah-par se ziyaada bastiyon ke log sare barf hote ja rahe hain be-rukhi achchhi nahin 'khurshid-akbar' se ziyaada