ek muamma hai wo waise kitna bhola-bhaala hai ek ek rang anokha us ka har andaz nirala hai shikwa hai main chup hun lekin itna hai malum mujhe mere phul se lafzon se wo kante chunne wala hai istifham ke jangal mein kab kaun kahan kyon kaisa kya soch mein khud ko gum paya hai jab se hosh sanbhaala hai duniya mein dekha hai har su jhut kapat chhal makr-o-fareb aur ye sunne mein aaya hai jhute ka munh kala hai koi samjha de sahil par matam karne walon ko apni marzi se kashti ko is girdab mein dala hai apne apne taur pe ahl-e-fikr ne us ko socha hai main bas itna kahti hun ye maut ka ek niwala hai