ek pal jita hai to 'tahir' ek pal marta rahta hai mera dil sine ke andar matam karta rahta hai us ki zid aur dil ki khwahish ke mabain na jaane kyon reza-reza sochon ka diwan bikharta rahta hai baz auqat main yun bhi us ko rone par uksata hun ro kar us ka sundar chehra aur sanwarta rahta hai jaan tu mujh ko pahle se bhi ziyaada ab yaad aaya kar tere yaad aane se mera dard sanwarta rahta hai jab tak teri bhigi palken ashk lutati rahti hain mere sar se andeshon ka sail guzarta rahta hai