ek pal ke liye the wo aae nazar umr bhar dil pukara ki hae nazar phul ban kar hamesha hi khilti rahe chand ban kar kabhi jagmagae nazar waqt-e-rukhsat teri chashm-e-nam kya kahun kash manzar meri bhul jae nazar jaane dil mein ye kis ka khayal aa gaya aap hi aap ye muskurae nazar ek misali ghazal hai likhi aap par khwab lamhon se raushan barae nazar ek muddat se hasrat yahi hai meri mujh ko dekhe to phir wo milae nazar us ke tir-e-nazar ki badi dhum hai aae dil pe mere aazmae nazar us nazar ki nazar main utarungi phir ek nazar jo tujhe dekh pae nazar 'hadia' ruh mein meri basta hai wo kaise mumkin hai ab wo churae nazar